Wednesday, January 28, 2009

SNEH KI ABHILASHA

Zulfo ne uski mujhe bandha aise
Bhul gaya mein bandhan jag ke
Chehre ko samete hue usne pyar se
Apne saaye mein mujhe paya usne
Kabhi zulfo ki badli mein, chand sa mukhda dekha
Kabhi ushmkiran ban, zhulsa gayi mere manko
Kabhi khoke paya usko, badli mein ankh michoni jaise
Kabhi woh chand roshni ki kiran, chandni muskurati jaise
Kabhi chandan si sheetal karti mere tanko
Kabhi zulfo mein khoke bhozhal karti mere manko
O chand , rehna mere man mein
Sneh ki abhilasha banke….

Boond

kale badal ki woh ek sham thi sooni
maan bhi soona aur angana bhi sooni
sooni ankhon mein giri thi ek boond
woh kehne lagi mein to rahi thi tujhko hi dhoond
woh boond thi ki chingari mein yeh na jaan saki
woh bikhri aur mein bhi na tan bcha saki
mujhe yaad hai woh raat abhi tak....
mujhe yaad hai woh raat abhi tak....
chand bhi aaya tha us roz
aur taare bhi sang aye the
maan ki veena ke kuch toote taar kuch soz
Maan ki umang phir le aaye the
Mein bhul gayi woh kale badal
aur bheegh gayi masti mein
mujhko chand bhi lagne laga tha pagal
jo chupa gaya sare badal apni hasti mein


mein darti thi ki subah na hone paye
suraj ki kiran meri boond ko na choone paye
woh aankhon ke raste dil mein jo utar gayi thi
mein kuch bator pati magar woh phir apne raste chali thi
woh boond nahi thi shayad
mere swapn ka toota kan tha
mein to unhi hui diwani
woh to bas soone jivan mein ek shan tha
woh bas aaya tha mujhe behlane
swapan lok ki sair karane
ab to aas ke sang pyaas bhi bhuj gayi
phir soone badal ki sham badal gayi
Mein soch khari hoon rasta takte
jane kab barsegi woh boond mere angan mein phirse....
jane kab barsegi woh boond mere angan mein phirse....

Chauraha

ateet ke panne ulat kar jab dekti hoon
to sirf ghor andhakar mein doobi zindagi
aur kuch bikhare panne hi samet pati hoon

mano woh cheekh cheekh kar mujhse poochte ho
ab jeevan mein kya rakha jo khojte ho
kati patang ki tarha bemaut mar gayi
kuch siski aur ab to aas bhi bhuj gayi
dosh aur niyati mein kya koi pharak nahi
kyu yeh bemani zindagi jeena khud par zulm nahi

lekin khud ke rundan ka shor ke siva
is khamoshi mein koi nahin sunta hai

aur phir ek khamoshi jo reh reh kar
ateet ko mere samaksh la khada karti hai
aur phir wohi chaoraha aur phir wohi mein…

Prashan

tum kehte ho..

bhavnao ko prastut karne mein shabdon ka aadambar kaisa
nayan korko se ashruo ka behna aur anubhooti keh dena kaisa
har bar bula poochna aana kaisa
bhavnao ki ghahrai ko napna aur anubhuti keh dena kaisa
mook prashan ka mook uttar kaisa
har aadambar ko bar bar aadambar keh jhootlana kaisa
maan ke bhavo ko vayakt karne mein hichakna kaisa
har bar ruk kar rok dena kaisa
bina sootr ke yeh rishta kaisa
bin bandhe yeh bandhan kaisa
apna hone ka yeh bharam kaisa…

in ashankhay prashano ke beech jeete nahi hai pal
mein in palo se ek ek din jeeti hoon…

Ahsaas

yeh dil ki basti bhi ajeeb basti hai
jeevan ke ahsaaso mein iski apni hi hasti hai

kabhi to hai akelepan ka ahsaas
jo kabhi door kabhi paas
kabhi dil akelepan ko dhoondta hai
kabhi akelapan dil ko dhoondta hai
kabhi kisi ke paas hokar bhi akelapan sa lagta hai
kabhi bin kisi ke bhi akelapan sa lagta hai
kabhi yeh dava hai , kabhi yeh saza hai
unhi akele mein dil kuch kehta hai
par akelepan ke ahsaas ke siva koi nahi sunta hai

kabhi to hai pyar ka ahsaas
jo kabhi pani kabhi pyaas
kabhi yeh sma jana chahta hai
kabhi yeh tham ke reh jata hai
kabhi khud hi luta hai
kabhi loot ke le jata hai

kabhi karne par bhi kam lagta hai
kabhi ismein hi kami reh jati hai
un to pyar sabke paas hota hai
par kabhi kismat kabhi smay ka saath hota hai

kabhi to hai rishton ka ahsaas
jo kabhi majhi kabhi patwar
kabhi yeh khud hi behta hai
kabhi bahake le jata hai
kabhi toot ke bikharta hai
kabhi bikharke toota hai
kabhi yeh saaya hai kabhi aks
un to rishte sbhi banate hai
par kabhi who samet lete hai
kabhi tod kar rakh dete hai
in ahsaaso se pare ek ahsaas mein jeeti hoon
roz ek saans ek aas peeti hoon
woh jo akela hai bin pyaar bin rishton ke
woh hai ek adhoora sa ahsaas…

Jeevan Mein Tatv Khojti Mein

Ek adhura sa ahsaas hota hai
Apna aap bhi rootha sa lagta hai
Kyu rahu tadpu bin bhag ke
Kyu yeh khalipan dasta rahe bin aas ke
Tan man sab adhura sa lagta hai
Apna gam hi jhootha sa lagta hai
Kyu yeh dard mere paas nahin
Kyu yeh jasbat mere aap nahin
Nahin bandhi to bikhar na jau kahin
Toot kar apna na kho jau kahin
Kya yeh sab vyarth hai
Maun bhi kya nirarth hai
Hooth kar rahe chup baat lagta hai
Khamoshi mein rundan ka swar sa sunta hai

Kya kuch nahi jeevan matr naam hai
Kya bin lakshay jeevan labh hai
Kahin saya tak nazar nahi aata hai
Jaane kyu jeevan khoya sa jata hai
Maan kuch khena chahta hai
Lekin bin kahe antim saans le jata hai
Aur phir…
Jeevan mein tatv khojti mein reh jati hoon
Ek adoore se ahsaas mein khokar…

Woh Kuch

woh kuch jo na tumse kehna tha
woh jo adhura rehna tha
woh tum ab bhi na samajh sake
dil mein rehkar bhi woh alag rahe

tumne mujhe shabdo mein bandhana chaha
meine to sirf tumhe chaha
yeh dil ki lagi bhi aisi thi
is aag mein mujhko jalna tha

jeevan ke kinaro mein tumhi the
mein lehar bani par simat na saki
tum paas magar bahut door rahe
mein os ban bikhar hi gayi

sanse hai kamjor maan hai vikal
yaando mein tum aaye pal vipal
woh kuch tor gaye kuch toot gaya
woh sapna nahi dil apna tha…

Moan Pratima

tere nayano ke bhawar mein doob jau
ya teri zulfo ki ghani chao mein kho jau
ya phir is madmast hooton ki hansi mein jhoom jau

lekin nahi..

mein is maon pratima par likh nahi sakta
jo mera apna nahin use keh nahi sakta
har baar aati ho zhulsa jane ke liye
is maan ki aas ban agni mere tan ko
aur ojhal ho jati ho mere maan ke kisi kone mein
ban dhoomil si yaad teri mere jeevan mein…

Kalpana

kalpana ke andekhe jhule mein
sapno ke jharokho se
ek bar meine dekha hai tumhe

kanhi khokar na reh jaye yeh ahsaas
bandh lo har saans se saans
pyar ka safar lamba nahi
tum unhi na bichar jao kahi
dil ke anshiya mein ek bar dekha hai tumhe

zindagi ka ab aetbaar nahi
khali jeevan hame swekar nahi
jahan meri seema nahi
udna chahte ho tum wanhi
un seemao se pare meine dekha hai tumhe


kal yeh nazare badal na jaye kanhi
roak na le yeh rasmo riwaz kanhi
chod duniya ke saath sabhi
tor sab bandhan aaj yanhi
khule panchi ki tarah dekha hai tumhe

intezar ki inteha hue
aaj to maan ja unhi
tumhi se pyar hai kehti hu
tum bin yeh nirarth jeevan jiti hu
jeevan ki jagah dekha hai tumhe

kalpana ke andekhe jhule mein
sapno ke jharokho se
ek bar meine dekha hai tumhe…

Waqt

Tumhare paas waqt hai mere paas nahi
Socha baant loge to sanjha ho jayega
Chal paungi kadam do kadam saath
Keh paungi katre do katre
Aur ji lungi woh shan
Bator lungi punji mein apni
Bhatakti hun yehi soch
Ki Rasta khoj lungi
Mang lungi tere pero ke padchiru ek din
Aur ankh meech chal padungi peeche peeche
Lekin…

keh paungi yeh sab shayad nahi
Yeh asankhay prashan mere maan ke vyom mein ghuma karte hai
Aur na jane har bar tumhari ankho mein dekhne ke bad kahan kho jate hai
Yeh maan se maan ka judav kitne ghara hai
Aur kitna sukhad hai yeh ahsaas, hai Na?

Bachpan

bachpan ki woh yaadein bholi
woh chidiya who gudiyo ki toli
woh roothna manana
woh roothkar bhi muskaana
woh chote chote sapne
woh jo the apne
woh saawan ki phoohar
woh rinjhim ghataon ki jhankar..
tum bin sab suna hai
nahi jante the tumhe khoona hai
dil ko tadpati hai
jab yaad aati hai
woh bachpan ki yaad aur …..tum…